Yug Geeta Special Message by H.H.Dr.Pranav Pandya ( 12 Sep. 2012 )


viewed=2378



Category :
geeta  h. h. dr. pranav pandya  


Yug Geeta Special Message by H.H.Dr.Pranav Pandya ( 12 Sep. 2012) Bhranti Ka Karan Avidya Or Agyaan Hota Hai. Avidya, agyaan or maya ek dusre ke sehyogi hain. Peeda ki shuruwat hai bhranti, uski wajah se Avsaad (Depression), Ashanti bhi utpann hoti hai. Teen samadhan hain isse bachne ke liye, 1. Atma amar hai. 2. Bhagwan ke sharan me apne aapko arpit kardo. 3. Karmfal ka siddhant jo manega wo kabhi avsaad grast nahi hoga. Ye sharir ek guest house hai or hum sab is sharir ke guest. Tyag se shanti milti hai. Dhuri Se bhatakna hi avsaad hai. Paap ke parimarjan ke do samadhan hain Tap or Prayashchit. Kartavya ki paribhasha dharm tay karta hai. Avsaad hatana hai to Geeta ke siddhant ko maano. Dar apne ahankar se chipakne par lagta hai. Bhagwan ke priya wo hote hai Jo Akanksha se rahit ho, Pakshpaat rahit ho, Apeksha rahit ho or Jo andar bahar se pavitra ho. Avsaad mukt raho khush raho.

Release date : 12-09-2012

Write Your Comments Here: